Bulalo Karbobala Mujhko Haider Rizvi 2024
Bola Lo Karb-o-Bala Mujh Ko Aik Bar Hussain
Keh Zindagi Ka Nahi Koi Aytbar Hussain
--
Imam Ab Tu Watan Mein Yeh Dil Nahi Lagta
Karam Ki Aik Nazar Kar Do Meri Simt Zara
Hai Dil Tumhari Ziyarat Ko Be Qarrar Hussain
Keh Zindagi Ka Nahi Koi Aytbar Hussain
--
Main Door Door Se Kab Tak Karon Ga Tum Ko Salam
Suna Hai Likhtay Hain Abbas Zaireen Ke Naam
Main Kar Raha Hoon Bulaway Ka Intezar Hussain
Keh Zindagi Ka Nahi Koi Aytbar Hussain
--
Yeh Manta Hoon Gunahgar Hoon Bohat Maula
Main Jaisa Bhi Hoon Tumhara Hoon Chahney Wala
Nahi Hai Kam Mere Dil Mein Tumhara Pyar Hussain
Keh Zindagi Ka Nahi Koi Aytbar Hussain
--
Dua Karon Ga Agar Karbala Gaya Aik Bar
Ho Kash Naam Mera Aisay Zairon Mein Shumar
Woh Khush Naseeb Jo Aate Hain Bar Bar Hussain
Keh Zindagi Ka Nahi Koi Aytbar Hussain
--
Tawaf Kartay Hain Jis Pak Sehan Ka Konain
Jo Sehan Hai Dar-e-Ghazi-o-Shah Ke Ma Bain
Rahon Main Ban Ke Ossi Sehan Ka Ghubar Hussain
Keh Zindagi Ka Nahi Koi Aytbar Hussain
--
Bola Lo Unn Ko Jo Rozay Pe Aa Nahi Saktay
Jo Karbala Ki Fizaon Ko Pa Nahi Saktay
Hain Jo Bhi Gardish-e-Halaat Ka Shikar Hussain
Keh Zindagi Ka Nahi Koi Aytbar Hussain
--
Parhon Main Noha Girey They Jahan Ali Akbar
Jholaon Hathoon Se Gehwara e Ali Asghar
Rawaan Ho Aankhon Se Ashkon Ka Aabshar Hussain
Keh Zindagi Ka Nahi Koi Aytbar Hussain
--
Katay They Bazu-e-Abbas Jis Jagah Maula
Main Ho Ke Chak Girebaan Wahan Parhon Noha
Ho Mera Kurta Bhi Matam Se Taar Taar Hussain
Keh Zindagi Ka Nahi Koi Aytbar Hussain
--
Dua Yeh Hai Lab e HAIDER Pe Aye Shah e Wala
HASAN Ke Dil Mein Bhi Arman Hai Yehi Maula
Hamara Karb-o-Bala Mein Banay Mazar Hussain
Keh Zindagi Ka Nahi Koi Aytbar Hussain
- Mirza Hasan Mujtaba -
No comments:
Post a Comment