Bhai Ka Lasha Haider Rizvi
Jab Zanu-e-Hussain Pe Abbas Mar Gaye
Sadmay Ghazab Ke Sibt e Nabi Par Guzar Gaye
Khanjar Alam Ke Dil Se Jigar Tak Utar Gaye
Chilatay They Keh Shair Hamarey Kidhar Gaye
Wa Hasrata Keh Bekas-o-Be Yaar Ho Gaye
Sar Kaisay Peetein Hath Tu Bekar Ho Gaye
--
Shabeer Pe Aaya Hai Qayamat Ka Yeh Lamha
Hai Samne Bhai Ke Para Bhai Ka Lasha
--
Shabeer Ki Iss Gham Se Kamar Toot Gayi Hai
Socho Tu Zara Kaisi Qayamat Ki Ghari Hai
Maqtal Mein Sheh-e-Deen Se Sanbhala Nahi Jata
--
Abbas Ki Ik Aankh Mein Khoon Aik Mein Hai Teer
Haan Khon Mein Dobi Hoi Haider Ki Hai Tasveer
Yeh Dekh Ke Shabeer Ka Phatta Hai Kaleja
--
Bazu Bhi Nahi Jism Pe Abbas-e-Jari Ke
Bikhrey Hoye Tukray Hain Sabhi Ibn-e-Ali Ke
Manzar Hai Qayamat Ka Biyaan Ho Nahi Sakta
--
Ab Aoun-o-Muhammad Nahi Akbar Bhi Nahi Hai
Abbas Sa Dunya Mein Baradar Bhi Nahi Hai
Pardais Mein Ab Kaun Hai Sarwar Ka Sahara
--
Khaimay Se Yeh Sab Dekhti Hain Zainab-e-Dilgeer
Ghazi Ke Janazay Pe Girey Hazrat-e-Shabeer
Roney Ko Madine Se Chali Aayi Hai Zahra
--
Azlan Biyaan Kaisay Ho HAIDER Woh Qayamat
Dekhi Nahi Jati Thi Sheh-e-Deen Ki Halat
Abbas Ka Sar Jis Ghari Zanu Pe Rakha Tha
- Arsalan Azmi (Azlan) -
No comments:
Post a Comment