Pursa Do Jafar e Sadiq Ka Haider Rizvi 2024
Aye Ahl-e-Azza Do Kazim Ko Sab Pursa Jafar-e-Sadiq Ka
Rota Hai Jigar Ko Thamay Hoye Shehzada Jafar-e-Sadiq Ka
--
Mansor Ne Aisa Zehar Diya Zahra Ka Chand Tarapta Tha
Kabhi Zard Howa Kabhi Sabz Howa Hai Chehra Jafar-e-Sadiq Ka
--
Yeh Soch Ke Maula Sadiq Ki Aankhon Se Barastay They Aanso
Zindan Mein Barson Qaid Rahe Ga Beta Jafar-e-Sadiq Ka
--
Jab Mah-e-Muharram Aata Tha Dil Gham Mein Doob Sa Jata Tha
Sab Ahl-e-Madina Suntay They Bas Giriya Jafar-e-Sadiq Ka
--
Tarveej e Ilm Mein Din Guzrey Shabein Guzrein Shah Ke Matam Mein
Ban Jata Tha Misal-e-Farsh-e-Azza Ghar Sara Jafar-e-Sadiq Ka
--
Zahra Ke Shikasta Pehlu Par Din Raat Woh Noha Parhtay They
Ab Fatima Zahra Parhti Hain Khud Noha Jafar-e-Sadiq Ka
--
Kabhi Akbar Ke Gham Mein Roye Kabhi Sarwar Ki Tanhai Par
Taboot Uthaya Kazim Ne Jab Maula Jafar-e-Sadiq Ka
--
Darwaza e Bint-e-Paygambar Jis Tarha Jalaya Bad-e-Nabi
Aisay Hi Jalaya Ummat Ne Darwaza Jafar-e-Sadiq Ka
--
Kuch Pathar Noha Parhtay Hain Maula Ki Lehad Par Aaj Talak
Zahra Ki Tarha Hi Ban Na Saka Ik Roza Jafar-e-Sadiq Ka
--
Aankhon Se Lahu Barsao HASAN Jafar Ke Dard Sunao HASAN
HAIDER Yeh Baqi Mein Ja Ke Parhey Ga Noha Jafar-e-Sadiq Ka
- Mirza Hasan Mujtaba -
No comments:
Post a Comment