Suno Suno Suno Suno Zamane Walo Suno
Meesum Faraz-e-Daar Se Ayelan Kar Gaya
Haq Kehne Se Jo Dar Gaya Samjho Woh Mar Gaya
Maidaan Mein Sar Sarati Hoi Boli Zulfiqar
Jis Ne Bhi Sar Uthaya Samajh Lo Woh Sar Gaya
Talwar Murtaza Ki Barey Josh Mein Hai Aaj
Jibreel Par Samait Lo Warna Yeh Par Gaya
Hukam-e-Khuda Se Utra Jo Tara Ali Ke Ghar
Sare Munafiqeen Ka Chehra Utar Gaya
Lanat Ne Oss Ka Peecha Nahi Chora Hashar Tak
Bughz-e-Abu Turab Ka Mara Jidhar Gaya
Jis Din Se Maat Maut Ko Di Hai Hussain Ne
Har Ba Shaoor Zehan Se Marne Ka Dar Gaya
Yeh Matam-e-Hussain Ne Bakhsha Hai Hosla
Paish-e-Qaza Bhi Matami Seena Sapar Gaya
Zulm-o-Sitam Ke Sare Hi Beh Jaein Gay Pahar
Gar Sabar Ka Hamarey Samandar Biphar Gaya
Khutbaat-e-Bint-e-Nehj-e-Balaga Ke Faiz Se
Meri Sukhnwari Ka Sarapa Sanwar Gaya
Hum Ne Suna Tha Sehal Nahi Hai Pul-e-Serat
Lekin SOHAIL Ya Ali Keh Kar Guzar Gaya
- Sohail Shah -
No comments:
Post a Comment