Ali Ali Ali Ali Ali Ali
Sab Par Hai Rehmaton Ki Yeh Barsat Ali Se
Patay Hain Rizq Arz-o-Samawaat Ali Se
Mairaj Mein Hoi Hai Mulaqaat Ali Se
Aaye Hain Khud Mila Ke Nabi Hath Ali Se
Phaila Ke Hath Aap Kahin Ya Ali Madad
Poshida Kab Hain Bandon Ke Halaat Ali Se
Hijrat Ki Raat Ho Woh Ya Mairaj Ki Ho Raat
Ojhal Howa Na Kuch Bhi Kissi Raat Ali Se
Dunya Mein Bantta Hai Woh Behlool Ki Tarha
Milti Hai Jis Kissi Ko Bhi Khairat Ali Se
Momin Ko Iss Liye Bhi Nahi Khof Maut Ka
Marne Ke Baad Hogi Mulaqaat Ali Se
Kaba Ali Ke Aane Se Qibla Hai Ban Gaya
Zahir Hoye Hain Kitne Kamalat Ali Se
Sajdoon Samait Sare Woh Dozakh Mein Jaein Gay
Rakhtay Hain Dil Mein Bugz Jo Hazraat Ali Se
Maidan Koi Bhi Tha Wahan HAIDER O ASAD
Khayi Barey Baron Ne Bari Maat Ali Se
- Asad Ali Asad -
No comments:
Post a Comment