Arman Milay Khak Main Sary Ali Akbar Haider Rizvi
Arman Bohat Tha Keh Tujhe Dulha Banati
Iss Chand Se Chehray Pe Tere Sehra Sajati
Inn Hathoon Pe Main Khoon Ki Jagah Mehndi Lagati
Our Shan Se Dulhan Main Teri Biyah Ke Lati
Arman Miley Khak Mein Sare Ali Akbar
Maa Zindah Rahe Kis Ke Saharey Ali Akbar
Jin Aankhon Mein They Khuwab Teri Shadi Ke Beta
Taqdeer Ne Bakhsha Hai Inhein Ashkon Ka Tohfa
Khushiyaan Nahi Qismat Mein Hamarey Ali Akbar
Batlao Tu Ab Dulha Banaon Gi Main Kis Ko
Aye Lal Marey Mehndi Lagaon Gi Main Kis Ko
Kyun Roth Gaye Maa Ke Dularay Ali Akbar
Aye Noor-e-Nazar, Lakht-e-Jigar, Qalb Ki Rahat
Tum They Tu Yeh Dunya Bhi Mujhe Lagti Thi Janat
Be Rang Hain Ab Sare Nazarey Ali Akbar
Halat Jo Marey Dil Ki Hai Iss Aan Na Pocho
Kya Haal Hai Madar Ka Meri Jan Na Pocho
Phatta Hai Jigar Dard Ke Marey Ali Akbar
Hai Dil Pe Abhi Zakhm Alamdar Ka Taza
Seh Paein Gay Woh Teri Judai Ka Na Sadma
Shabeer Hain Marqad Ke Kinaray Ali Akbar
Dekho Tu Woh HAIDER Ka Bhi Dil Kaat Rahi Hai
AAKASH Ka Bhi Khon-e-Jigar Chaat Rahi Hai
Jo Barchi Hai Seene Mein Tumhare Ali Akbar
- Aakash Rizvi -
No comments:
Post a Comment